Live Barabanki » ALLAMA IQBAL SHAYARI
ALLAMA IQBAL SHAYARI

Amal se zindagi banti hai jannat bhi jahannam bhi,
Ye KHaki apni fitrat men na nuri hai na nari hai...
Anokhi waza hai sare zamane se nirale hain ye ,
Aashiq kaun si basti ke ya rab rahne wale hain...
Apne man men Dub kar pa ja suragh-e-zindagi
Tu agar mera nahin banta na ban apna to ban...
Dil se jo baat nikalti hai asar rakhti hai
Par nahin taqat-e-parwaz magar rakhti hai...
Guzar ja aql se aage ki
Ye nur charagh-e-rah hai manzil nahin hai...
Jis khet se dahqan ko mayassar nahin rozi
Us khet ke har KHosha-e-gandum ko jala do...
Na puchho mujhse lazzat KHanuman barbaad rahne ki
Nasheman saikDon maine bana kar phunk Dale hain...
Sitaron se aage jahan aur bhi hain
Abhi ishq ke imtihan aur bhi hain...
Tere ishq ki intiha chahta hun
Meri sadgi dekh kya chahta hun...